Total Pageviews

Search This Blog

Noha Lyrics

       Meri Sakina(a.s)

                                                     by Nadeen Sarwar


Meri Sakina  Noha Write-up / Lyrics / Wordings
(Aakhri Salaam) x4
(Meri Sakina is terhaa naa rona) x2.
    1. (Tum jawo kaha(n) Allah Jane maqtal me rahe kis haal mei hum) x2
(Aab khwab mei baba aayenge) x2 chahe shaam Kaa ho zindan howe
(Meri Sakina is terhaa naa rona) x2
Naa meri bachi naa is naa (is terhaa naa ronaa) x2
    1. Hum jaate hay milne baba se ab lot ke hum ko aanaa nahi
Kuch der lipat jaa sine se phir baap ka sinaa milnaa nahi
(sojanaa jahaan phuphiyaa(n) kehde) x2
chahe shaam kaa ho zindan howe
Meri Sakina is terhaa naa rona
Naa meri bachi Naa (is terhaa naa ronaa) x2
    1. Jaane de muje maidaa(n) ki taraf denaa ye tuje kurbani hai
rahwaar ke mere pawo(n) na per meri bachi tu sayyedani hai
(Jinaa hai tuje Zehra ki terhaa) x2
chahe shaam Kaa ho zindan howe
Meri Sakina is terhaa naa rona
Naa meri bachi Naa (is terhaa naa ronaa) x2
    1. (Aa ponch le ansoo ankho se tu dekle chehraa baba ka) x2
kal ho saktaa hai aa naa sake pehchan me chehraa baba kaa
(hum saath teraa naa chorenge) x2
chahe shaam Kaa ho zindan howe
Meri Sakina is terhaa naa rona
Naa meri bachi Naa (is terhaa naa ronaa) x2
    1. Abbas kaa dil Akber ki behan jis waqt bandhe gardan me rasan
tum baba baba mat kehnaa tarpenga mera be gor badan
(Asger ki terhaa se chup rehnaa) x2
chahe shaam Kaa ho zindan howe
Meri Sakina is terhaa naa rona
Naa meri bachi Naa (is terhaa naa ronaa) x2
  1. (Dekhaa “Rehan-o-Sarwar” ne khud shaam me jaaker ye manzar) x2
sailaab hai pursadaro kaa masroof-e-fugaa taa hadtay nazar hai
(nara ilaakaa Bibi kaa) x2 chahe shaam Kaa ho zindan howe
Meri Sakina is terhaa naa rona
Naa meri bachi Naa (is terhaa naa ronaa) x2
(Akhri Salaam)X2


                                            

            Ae Shame Ghariban

                by NADEEM SARWAR
Behti rahi furaat Noha Write-up / Lyrics / Wordings
(Aay shaam-e-ghariba) x5
(Behti rehi furat) x4
    1. Khoon ho ker beh gaya Akber kaa dil
Muskura kar ker Khatam Asger ho gaye
(Behti rahi furat) x2
    1. Karbala ke dasht me jaisaa andhera cha gaya
Aa gaye sham-e-gharibaa surkh hai khak-e-shifaa
Jhal gaye khaim-e-sar-e-shamm-e-Alamin
Kitne manzar khaakh ho ker reh gaye
(Behti rahi furat) x2
    1. Dhal gaya dil shaam aayi shaam phir aisi ke baad
do paher ke baad chayi aisi tanhayi ki baad
Kis terhaa zehra kaa ghar lutaa gaya
Kis terha be sar bahater ho gaye
(Behti rahi furat) x2
    1. Aaj subhe tak ye ghar roshan bhi tha abaad bhi
sab ke waris the salamaat bhayi bhi awlaad bhi
ik hawaa asi chali perdes me
be zabaan bache bhi be sar ho gaye
(Behti rahi furat) x2
    1. Ye hai woh sham-e-gharibaa jo kayamaat bangayi
dukhtar-e-zehra ke sar se jisne chadare chin li
ya rasulallah kayamat ho gayi
dakhile khayma sitamgar hogaye
(Behti rahi furat) x2
    1. Aik ik katre ko tarse ban me ab faal-e-hussain
mashk zakhmi khali quze laash pamaal-e-hussain
reh gayaa maidaan me be kas kaa tan
jashan me masroof lashkar hogaye
(Behti rahi furat) x2
    1. Marte dam pani pisar mange padar majboor hai
tu bataa sham-e-ghariba al qamaa kiya door hai
waye nehre al qamaa behti rahi
aur pyaase qatl akber hogaye
(Behti rahi furat) x2
    1. Hai wohi manzar wohi khaimay wohi tishna labi
aaye hai sham-e-gharibaa khu(n) rulaane aaj bhi
gham hame “rehan -o-sarwar” kyu na ho
mahve mataam jab payambar hogaye
(Behti rahi furat) x2
  1. Khoon ho ker beh gaya Akber kaa dil
Muskura kar ker Khatam Asger ho gaye
(Behti rahi furat) x2
                                       

                Khanjar Qreeb

                                 by NADEEM SARWAR

(Ya hussain) x3
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai
(Ya hussain) x2
(Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2
    1. Jaan kar qareeb tar mera parwardigaar dekh
Aashiq ka apne reyg-e-tapaa(n) par qaraar dekh
Mera yakeen dekh mera etebaar dekh
Mei kitna mutmain hu(n) idhar eik baar dekh
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai
    1. Pyaasa hu(n) teen roz ka zakhmo(n) se choor hu(n)
Ya rab gawaah rahiyo ke mei bekasur hu(n)
Che maah ho gaye mei watan se bhi door hu(n)
Ab teri baargaah mei tere huzoor hu(n)
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai
    1. Ek qalb-e-natawaan be bahattar ka daagh hai
Athara saal ke Ali Akbar ka daagh hai
Bazu burida sher ka Asghar ka daag hai
Lagna abhi luti huwi chadar ka daagh hai
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai
    1. Eh keh ke jo khamosh huwe sibt-e-payambar
Dekh ke sarhaane khari hai madar-e-muztar
Shehzadi ke sar par hai pari khaak ki chadar
Kehti wo sar god mei Shabbir ka lekar
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai
    1. Mazloom ki imdaad ko aata nahi koi
Paani dam-e-marg pilata nahi koi
Zakhmo(n) pe lagi khaak churaata nahi koi
Haay haay mere bache ko bachata nahi koi
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai
    1. Haider se kaha Zehra ne khof ata hai saheb
Maa(n) hu(n) mera dil dard se tharrata hai saheb
Ye dekhiye duniya se pisar jaata hai saheb
Khanjar ko liye shimr chala aata hai saheb
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai
(Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2
    1. Farmaane lage maa(n) se basad ranj ye maula
Kuch deyr mei ab kooch hai duniya se hamara
Ay amma chali jaaye maqtal se khudara
Kis tarah se dekhogi tarapta huwa laasha
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai
(Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2
    1. Ek baar jo khaymo(n) ki taraf yaas dekha
Dekha ke dar-e-khaymaa(n) pe roti hai Sakina
Ek hook uthi qalb mei rone lage maula
Zainab se ishaaro(n) se kaha ay meri behna
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai
(Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2
    1. (Aawaz-e-ghaib aayi palat aa hussain aa) x2
Ab imtehaan tera mukammal yaha huwa
Khun-e-pisar se tu hai wuzu ab to kar chuka
Ye sun ke sheh ne sajde mei sar rakh ke ye kaha
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai
(Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2
  1. Jab ponchi behen bhaayi ke laashe pe khule sar
Dekha ke la’ee(n) pher chuka halq pe khanjar
Aur shimr liye jata hai sar gesoo pakar kar
Ay “Sarwar-o-Rehan” karo yaad wo manzar
Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai
As’salaamu alayka ya tharallahi wabna thaari
Wal witral mawtoor, ash’hadu annaka qad aqamtas-salaat
Wa ataytaz-zakaat, wa amarta bil ma’aroofi wa nahayta annil munkar
Wa ata’tallahu wa rasoolahu, hatta ataaqal yakeen
As’salaamu alayka ayyuhash-shaheed
As’salaamu alayka ayyuhal-mazloom, wabnul-mazloom




             Kya Mohammad Ka Pyara Nahin Houn Lyrics

                                                                by ali shanawar

Mujhe pay kyun band karte ho paani
Ya Hussainx3
Mera nana Nabi, meri maa Sayyada
Mera baba Ali, mera bhai Hasan
Hum hi hein Panjatan
Meri kya he khata, mujhpe kyun band karte ho pani
Kiya Muhammad ka pyara nahin hun
Kya mein Zahra ka jaya nahin hunx3
Kya Nabi ka nawasa nahin hun
1. Mere nana ne kalma sikhaya
Aur quran tumko sunayax2
Kya ma nana ka saaya nahin hunx3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
2. Who madina jahaan mera ghar he
Aur masjid mein us ghar ka dar hex2
Kya mein us ghar mein khela nahin hunx3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
3. Chakkiya pees kar maan ne paala
Mujhko nana ne jhula jhulayax2
Apna bachpan mein bhula nahin hunx3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
4. Kamli wale ke lab chumta tha
Kitna pyara mera bachpana thax2
Kya mein unka dulhara nahin hunx3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
5. Mein jo paani kabhi maangta tha
Kyun tarapti thi maa ab mein samjhax2
Paas asghar ke jaata nahin hunx3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
6. Mein jo chahun baras jaaein badal
Khun mein duba nazar aaye maqtalx2
Jang karne mein aya nahin hunx3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
7. Ik sada thi yeRehaan-o-Sarwar
Kehrahe the Hussain ibne haiderx2
Kya mein mehman aaya nahin hunx3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
Kya mein zahra ka jaya nahin hunx3
Kya nabi ka nawasa nahin hun.


                        Pyaare Nabi Ki Pyaari Nawaasi 

                                                by Ali Shanawar
Shaam ko qaidi ban kay chali haix3
Pyaare Nabi Ki Pyaari Nawasi
Shaam ko qaidi ban ke chali he
Sabr ki malka zehra ki pyaari
Sham ko qaidi ban ke chali he
Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali haix2
Dekh rahi he koi to aaye, shaana pakar kar kaash bithaayex2
Na he sawaari na he amaari, Shaam ko qaidi ban ke chali he
Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali haix2
Bhaai bhateeje bhaanje bete, Saath watan se aayi thi lekarx2
Haaye muqaddar aaj akeli, Shaam ko qaidi ban ke chali he
Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali haix2
Beton ko sadqa bhaai pe karke, jisne kiye the shukr ke sajdax2
Chhor ke tanha laash ko uski, Shaam ko qaidi ban ke chali he
Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali haix2
Jiski kaneezein nikle na baahar, balwe mein laaye usko sitamgarx2
Haaye ye ghurbat binte ali ki, Shaam ko qaidi ban ke chali he
Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali haix2
Kitne hi qaidi jitney churaye, aaj woh bibi sar ko jhukaayex2
Eik rida ki ban ke sawali, Shaam ko qaidi ban ke chali he
Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali haix2
Socho woh manzarSarwar-o-Rehan, bhaai ho jiska waarise quranx2
Kaise woh bibi ashk bahaati, Shaam ko qaidi ban ke chali he
Pyaare Nabi ki pyaari nawasi, Shaam ko qaidi ban ke chali haix2







1 comment: